Mere chacha - मेरे चाचा - hindi poem - rahulrahi - Lafzghar

Breaking

BANNER 728X90

Saturday, August 28, 2010

Mere chacha - मेरे चाचा - hindi poem - rahulrahi

Meri maa ke wo devar hai,
duniya se alag,
unki baate,
kya batae kaise tevar hai,
papa ko kehte wo bhaiya,
aise hai mere chacha.

bachpan se unko dekha hai,
bas itna maine samajh hai,
jab samajh nahi kaam aati thi,
samjhate mujhko chachaji.

kya karte hai, tum na jano,
toh accha hoga mere liye,
auro ki film nikalte hai,
aur meri pant,
itna samajhiye.

kabhi maarate mujho baato se,
kabhi laad kare jaise ke maa,
kabhi shararte kabhi hatpan bhi,
kya karenge wo kuch khabar nahi,
ya wo jaane ya mera bhagwaan.

jo na hai kaha maine ab tak,
shabdo me bayan ho paaega na,
unke hi karan mil paya,
maine jana wo mera khuda,
main karu shukriya.

kitna hi bada ho jaae kad,
is jag ki sabhi nigaho me,
par koi nahi aata hai sang,
bure vakt me chalti raho me.

in sabka gavah wo maalik hai,
kya jhuth likha aur kya saccha,
tere dil me,
main sada rahu,
o mere chacha banke baccha,
chahe kitna kuch likh jaae,
ye kavi abhi bhi hai kaccha.

No comments:

Post a Comment